"Hazrat Muhammad (Saww) Ka Noor"
Noor-e-Muhammad Ki Takhleeq
Jab Is Qaynaat (Universe) Mei Kuch Na Tha... To Sirf Ak Allah Tha... Allah Nay Chaha Kay Wo Pehchana Jai To Allah Nay Upnay Noor Say Ak Noor Ko Takhleeq Kiya Aur Wo Noor 424,000 Saal Tak Allah Kay Arsh Pay Allah Ka Zikar Karta Raha.
424,000 Saal Kay Baad Allah Nay 12 Hijaabon Ko Peda Kiya Ta-Kay Yea Noor Un Hijaabon Mei Be Allah Ka Zikar Karay
- Hijaab-e-Qudrat (Prayed For 12,000 Years)
- Hijaab-e-Azmat (Prayed For 11,000 Years)
- Hijaab-e-Mannat (Prayed For 10,000 Years)
- Hijaab-e-Rehmat (Prayed For 9,000 Years)
- Hijaab-e-Sa'adat (Prayed For 8,000 Years)
- Hijaab-e-Karamat (Prayed For 7,000 Years)
- Hijaab-e-Manzalaat (Prayed For 6,000 Years)
- Hijaab-e-Hadayat (Prayed For 5,000 Years)
- Hijaab-e-Nabuwaat (Prayed For 4,000 Years)
- Hijaab-e-Ref'At (Prayed For 3,000 Years)
- Hijaab-e-Mushee'At (Prayed For 2,000 Years)
- Hijaab-e-Shifaat (Prayed For 1,000 Years)
Iskay Baad Allah Nay "Looh", ''Qalam'' Aur ''Kursi'' Ko Peda Kiya Aur Upny Nabi Hazrat Muhammad (Saww) Kay Noor Ka Ta'aruf "Looh", ''Qalam'' Aur ''Kursi'' Say Karaya.
Iskay Baad Allah Nay Noor-e-Muhammad (Saww) Ko 5 Hisoon Mei Takseem Kar Diya
- Allah Nay Noor-e-Muhammad (Saww) Kay Pehly Hisay Say Upny Arsh Ko Peda Kiya.
- Allah Nay Noor-e-Muhammad (Saww) Kay Dusry Hisay Say 7 Asmano Ko Peda Kiya.
- Allah Nay Noor-e-Muhammad (Saww) Kay Teesry Hisay Say Chand (Moon) Aur Zameeno (Planets) Ko Peda Kiya.
- Allah Nay Noor-e-Muhammad (Saww) Kay Chothy Hisay Say Suraj (Sun) Aur Sitaroon (Stars) Ko Peda Kiya.
- Allah Nay Noor-e-Muhammad (Saww) Kay Panchway Hisay Say Roshni (Light) Ko Peda Kiya.
Aalameen (Universe) Ki Takhleeq
Allah Nay Noor-e-Muhammad (Saww) Ka Taaruf Mazeed Makhlooqat Say Karanay Kay Liye 999,999 Aalameen (Universe) Ko Peda Kiya Aur Phir Har Aalam (Universe) Mei Allah Nay Hazaron Mukhtalif Makhlooqat Ko Peda Kiya Aur Phir Allah Nay In Sub Makhlooqat Say Upny Nabi Hazrat Muhammad (Saww) Ka Taaruf Karaya.
Iskay Baad Allah Nay Ak Aur Aalam (Universe) Yani 1,000,000th Aalam (Universe) Ko Peda Karny Ka Irada Kiya Aur Allah Nay Is Aalam (Universe) Mei Hazrat Adam (A.S) Ko Peda Kiya Aur Phir Allah Nay Hazrat Adam (A.S) Say Hazrat Muhammad (Saww) Ka Ta'aruf Karaya.
Hazrat Muhammad (Saww) Ka Noor 72,000 Saal Tak Allah Kay Arsh Pay Allah Ka Zikar Karta Raha, Isi Tarhan 70,000 Saal Tak Jannat Mei Aur 70,000 Saal Tak Sidrat-Tul-Muntaha Pay Allah Ka Zikar Karta Raha.
Iskay Baad Hazrat Muhammad (Saww) Kay Noor Nay Jannat Kay 20 Daryaon (Sea) Aur 12 Chashmo (Spring) Kay Pani Mei Ghota Liya, Jesy He Hazrat Muhammad (Saww) Ka Noor Jannat Kay Daryaon Aur Chashmo Kay Pani Mei Ghota Leny Kay Baad Bahir Nikla To Aap (Saww) Kay Noor Say 124,000 Pani Kay Katry (Drops) Giry Aur Allah Say Unhi 124,000 Pani Kay Katron Nay 124,000 Anbiya (Prophets) Ki Takhleek Ki.
Iskay Baad Hazrat Muhammad (Saww) Kay Noor Nay Jannat Kay 20 Daryaon (Sea) Aur 12 Chashmo (Spring) Kay Pani Mei Ghota Liya, Jesy He Hazrat Muhammad (Saww) Ka Noor Jannat Kay Daryaon Aur Chashmo Kay Pani Mei Ghota Leny Kay Baad Bahir Nikla To Aap (Saww) Kay Noor Say 124,000 Pani Kay Katry (Drops) Giry Aur Allah Say Unhi 124,000 Pani Kay Katron Nay 124,000 Anbiya (Prophets) Ki Takhleek Ki.
Iskay Baad Allah Nay Hazrat Adam (A.S) Ko Mukamal Kar Kay, Unhay Zinda Kar Kay Un Mei Upni Rooh (Spirit) Phonki Aur Phir Hazrat Adam (A.S) Aur Hazrat Adam (A.S) Ki Rooh 600 Saal Tak Allah Kay Arsh Pay Ak Sath Lety Rahay.
Iskay Baad Hazrat Adam (A.S) Ko Zameen (Earth) Pay Utaar Diya Gaya Aur Phir Hazrat Muhammad (Saww) Ka Noor Hazrat Adam (A.S) Say Hazrat Abdullah (A.S) Tak Phoncha Aur Phir Hazrat Abdullah (A.S) Say Hazrat Muhammad (Saww) Kay Noor Ka Ak Insani Wajood Ki Shakal Mei Is Zameen Pay Zahoor Huwa.
Hum Nay Bhot Mehnat Say Noor-e-Mustafa (Saww) Par Ak Video Banai Hai Agar Aap Us Video Ko Dekhna Chahty Hain To Abi Nechay Diye Gay Video Link Par Click Kijiye.
WATCH FULL VIDEO ON YOUTUBE
0 Comments